Maine mere aansuon se
Uski adhuri kahani likhdi !
umra ka to pata nahi ,
Par nam uske maine
Apni jawani likhdi !
Maine mere aansuon se ,
Uski adhuri kahani likhdi!!
Kya chukayega wo meri Keemat ko
Sareaam jisne meri tauheen kardi
Par muhabbat ko saja dena mere usoolo me nahi
Isliye, maine meri udasi se
Uski hansti kahani likhdi
Kya mita payega khud ko
Wo kabhi mere liye
Jispar fanha maine apni zindagani kardi
Yun to muhabbat me hisab kitab nahi hua karte
Isliye maine bhi tadapkar
Behisaab wafaa uske sath nibhadi
Maine mere aansuon se
uski adhuri kahani likhdi
Kya de payega khushiyan wo wapis mujhe
Jisne aansuon ki adat mujhe dedi
magar ye muhabbat ki duniya hi esi hoti hai,
Dena chahe jo khushiyan sabko
Khuda ne bhi kismat me uske
Dard bhari kahani likhdi!!
Kal ko puchega agar khuda mujhse
Ki kyun tune uske nam apni kahani likhdi?
Kah dungi main bhi muskurakar usse
Sareaam usne meri tauheen kardi
Magar nam uske maine apni jawani kardi
Kya karega wo uski Keemat adaaa
Khud ki adhuri kahani se jisne
Uski puri kahani likhdi .!!
Uski adhuri kahani likhdi !
umra ka to pata nahi ,
Par nam uske maine
Apni jawani likhdi !
Maine mere aansuon se ,
Uski adhuri kahani likhdi!!
Kya chukayega wo meri Keemat ko
Sareaam jisne meri tauheen kardi
Par muhabbat ko saja dena mere usoolo me nahi
Isliye, maine meri udasi se
Uski hansti kahani likhdi
Kya mita payega khud ko
Wo kabhi mere liye
Jispar fanha maine apni zindagani kardi
Yun to muhabbat me hisab kitab nahi hua karte
Isliye maine bhi tadapkar
Behisaab wafaa uske sath nibhadi
Maine mere aansuon se
uski adhuri kahani likhdi
Kya de payega khushiyan wo wapis mujhe
Jisne aansuon ki adat mujhe dedi
magar ye muhabbat ki duniya hi esi hoti hai,
Dena chahe jo khushiyan sabko
Khuda ne bhi kismat me uske
Dard bhari kahani likhdi!!
Kal ko puchega agar khuda mujhse
Ki kyun tune uske nam apni kahani likhdi?
Kah dungi main bhi muskurakar usse
Sareaam usne meri tauheen kardi
Magar nam uske maine apni jawani kardi
Kya karega wo uski Keemat adaaa
Khud ki adhuri kahani se jisne
Uski puri kahani likhdi .!!
Comments
Post a Comment